hindi tantra mantra totake

Sunday, March 27, 2016

Mahavidya Dhumavati Sadhna Beej Mantra-माँ धूमावती की साधना कैसे करे

Dasamahavidhya me Mata Dhoomavati ka alag hi sthan he. Shatru Nash Ke Liye Dhumavati Beej Mantra, Dhumavati  Tantra, dono hi bhut  effective aur powerfull he. Aj ki is post me janenge Dhumawati Ki Sadhana Kaise Kare? Maa Dumavati Puja Benifits. Dhoomavati Mantra-Vidhi-Totake Aur Upay. 

Dhoomavati ko alakshami bhi kaha jata he kyoki ye dhan hin he.ye pati rahit bhi he isiliye inhe vidhawa bhi kaha jata he.inka swarop atyant hi bhayanak aur darawana hai.yah malin maile vastr dharan kiye hue he. inke bal bikhare hue he.inke rath par kak ka chinh bana hua hai tatha inke stan shithil awastha me latake hue he.

Yah dekhane me itni bhayanak akarati wali hote hue bhi apne bhakto ke kalyan ke liye sada tatpar rehati he. Ye bhut  hi karunamayi devi he.inhone hatho me soop dharan kiya hua he aur inki nak feli hui he tatha inki ankhe bahut hi kutil he jo shatruo ka khoon pine ke liye.Sadev lalayit rehati he.
Dhumavati-Ki-Sadhana, Beej-Mantra, Dhumavati-Prayog.Dhoomawati-Totake.
Naimisharnay Kali Peeth me ma Dhoomavati Ka Prasidh Mandir he jaha hajaro shradhalu til ki potali aur nariyal ka gola chadate he.aiye mata ki sadhana vidhi aur inse jude tantra mantra yantra ki sadhanao ke bare me jante he aur inke kya labh he aj ke kalyug me.

                      Navratri me maa ke 9 rupo ki puja kese kare

                           Kalash sthapana vidhi at home

Dhoomavati Sadhana Vidhi - धूमावती साधना विधि

Yah sadhana kisi bhi mahine ki "ashtami" ya "amavasya" ki ratri ko holi diwali ko ratri ko 10 baje snana karke prarambh karni chahiye.sadhak ko dakshin ki disha ki aur muh karke bethana chahiye.kale vastra pehane kala asan bichhae.fir ek steel ki thali me "Dhoomavati Yantra " sthapit kare ya "Dhoomavati Chitr" bhi sthapit kar sakate he.yantr ke samane Dhoomavati Mala ya rodraksh ki mala sthapit kare.

sarvapratham pavitrikaran karke sarso ke dane baye hath me lekar daye hath se charo dishao me fenke----

  //om apsarpantu .....................................................................................samarambhe.//////

Isake bad ganesh chitra sthapit kare kumkum,akshat,pushp,dhoop,deep se ganesh ji ka pujan kare.

isake pashchat dhumavati yantra ko jal se snan karakar saf kapade se ponchh de, yantra par kajal se tika lagaye.tel ka deepak jalae tatha agarbatti lagae dhoop nahi.nevedh me fal arpit kare.isake pashchat dhoomavati mala athava rudraksh ki mala se nimn mantra ki 21 mala mantra jap kare..>

                   sansar ki 10 mahashakti mahavidhyao ke bare me

                   9 Graho ki shanti ke liye kon kon se upay kare

dhumavati mantra
                                   //dhoom dhoom dhoomavati thhah thhah//

>Mantra jap ke bad us rat bilkul sona nhi he baki samay mansik jap tatha dhoomavati ke chintan me bita de.
agale din fir subah is mantra ki ek mala jap awashya kare.yantra ko nadi me visarjit kar de aur dhoomavati mantra ki ek mala roz jap karte rahe 40 dino tak teen mahine ke bad mala ko bhi nadi me visarjit kar de.

                            hawan kese karte he janne ke liye yaha dekhe

                               siyar singhi hatha jodi ki jankari 

Dhumavati Mantra Ke Totake Aur Upay - धूमावती के  9 टोटके


1-Shamshan ki rakh se "shivaling" ka nirman kare aur uska pushp adi se pujan kare tatha "dhumavati mantra" ka 1000 jap kare to shatruo se vyakti ki raksha hoti he.


2- Haldi ke patte par shatru ka nam likhakar use kisi jangal ke beech dal de,fir dhoomavati mantra ka 20,000 jap kare to shatruo ka ucchatan ho jata he.

3- Kisi bhi din dhoomavati mantra ka 31000 bar jap karne se putr ki prapti hoti he.

4-  Pipal ke patte ki dhhop dekar,panchgavya athava dhoodh ghee shahad ya shakkar milakar trimadhu teyar kar hawan karte hue 108 bar dhoomavati mantra ka jap kare.isase sabhi prakar ke abhichar karmo (bure kamo jadu tona ) ka nivaran ho jata he.

5- Ksheer vraksh ke tane ki keel banakar usake upar shatru ka nam ke sath dhoomavati mantra likhe.fir us keel ko dhoomavati ke mantra dhwara abhimantrit karke zameen me gadane se shatru par vijay prapt hogi.

6- Ek haddi par dhoomavati devi ka mantra likhakar us par "shivling" sthapit kare.tatpashchat usi mantr ka 1008 bar jap karne se shatru ko bhayanak pida prapt hoti he.

7- Shukl paksh me nirantar 11 dino tak bhagwati dhoomavati ke mantr ka 1008 bar jap karne se "karz se mukti" milati he. ur daridrata ka nivaran hota he.

8- Pipal ke patto se "bhagwati dhoomavati" mantra ka jap karte hue 11 hajar bar aahuti de. apko apna karz vasulane me safalta prapt hogi.

9- Neem ke patte tatha koe ke pankh lekar 108 bar dhumavati ke mantra se use abhimantrit kare.usi mantra se use dhoop pradan kare.isse bhi shatruo ki sankhya me kami ati he man-samman badata he.

Is Dhumavati Sadhana Vidhi ke sambandh me agar apka koi sawal he to comment box me likhe ya koi anya sawal ho to be jijhak puchh sakte he jald jawab milega ya hame subscrib kare sabscribr box me apni email id dale sabscrib kare.
Sabhi-Prakar-Ke-Hatha-Jodi-Siyar-Singhi-Mala-Moti-Rudraksh.

5 comments:

  1. Sir mugha dhoomavati puja sabdhana Puri vidhi boliya kia mugha aaapka contact number mil sakta ha mera ghar ma bohot problems ha islia mana khood dhoomavati jayanti ka rat ko 12baja Mata ki puja kia mugha aur bbi janna ha ktipa kar ka 7042741037 number ma WhatsApp ya message kara

    ReplyDelete
  2. aap yhi puchh sakte h sabhi upay diye h hr artical dhyan se pade

    ReplyDelete
  3. Mantra jap kaha kar sakte hi shamshan ghar ya shivalya

    ReplyDelete
  4. Kaha kar sakte hi dhoomavati maa ka mantra jap

    ReplyDelete
  5. ghar me jitna fal prapt hota h usse hzr guna jyada shamshan me prapt hota h aur mandir ya shivalay me usse bhi kai guna jyada prapt hota he.

    ReplyDelete

comment karne se pehale comment as ke niche profile select karna na bhule