hindi tantra mantra totake

Friday, July 15, 2016

Peepal Tree Information In Hindi - पीपल के पेड़ के चमत्कारी उपाय हिंदी में

Pipal Tree Information And Medicinal Used. Peepal Ke Ped Ki Jankari Hindi Me. Health Benefits Of Peepal Tree. Pipal Ke Ped Ka Mahatwa. is ped ka zikr aate hi dimag me horor movies chalne lagti he.kyoki aam logo me ye bhranti he ki peepal ke ped me bhoot hote he.to me unhe bata du ki bhai pepal ke ped me bhoot se jyada devatao ka vas hota he. pipal ke tane me narayan tatha shakhao me brahma, vishnu, mahesh ka vas hota he.

Bhagwan shri krishna ne bhi geeta me kaha he vriksho me mai peepal hu. shaniwar ki subah yani brahm muhurt teen se char baje ke as pas me isme laxmi narayan ka vas hota he, fir usake bad pure din ardh ratri tak shanidev ka vas rehata hai. is vriksh ki seva karne se hamare jeevan ke har prakar ke kasht, bimari, daridrata, durbhagya adi ka nash hota he, aur ishvar ki kripa prapt  hoti he.

Peepal Ke Chamatkari Upay - पीपल के चमत्कारी उपाय

"Agar aap Shani Ki Sade Sati ya Dhaiya se pidit he to pratyek shaniwar ko dodh, shakkar, shehad, jal, kale til, ganga jal aur gud dabhi chizo ko ek sath milakar ye mitha jal peepal par  chadae. ek aate ka deepak banakar usame sarso ka tel bhare, ek lohe ki keel tatha 11 sabut urad ke dane dalkar prajwalit kare, dhoop dikhae. baye hath se peepal ki jad ko sparsh karke 11 bar mathe se lagae.shighra hi apko shanidev ki kripa prapt hogi."
* Agar apka koi vishes karya he to uprokt upay karne se pehale ek lohe ki keel ko ped ke niche mitti me hi gad de, karya purn ho jane par vo keel nikal de.

* Agar apke karobar me lagatar hani ho rahi ho to pratyek saniwar ko peepal ke patte par om likh kar apni tijori me rakhe fir agale saniwar patta badal de. esa 8 shaniwar kare.

* Agar apke jivan me nirantar samasya bani rehati ho, lagatar har kary me rukawate aati ho to pratyek shanivar ko pipal ke 8 patte lekar kale dhage se use ek sath bandh kar rakhe, agale saniwar ko jab naye patte bandhe to purani ganth kholkar behate hue jal me baha de. apke kam asani se pure honge, sabhi badhao ka nadh hoga.

* Sawan ke pratham somvar ya kisi bhi somvar se pipal ke ped ke niche bethakar shiva ling sthapit kar jal chadate hue shiv mantra ka jab karne se ghar me sukh sampatti ka vas ho jata he.

Peepal Ke Ped Se Rogo Ka Ilaj - पीपल के पेड़ से रोगों का इलाज

* Peepal ki chhal ko nikal kar sukha kar koot karchhan kar ek gilas me ghol kar rakhe,powder ke niche beth jane par us pani ko pine se hichaki aana band ho jati he khansi me bhi labh milta he.

* Isi prakar se isaki chhal ko garam pani me ubal kar kar kada bana le, is pani se kulla karne se masudo ki sujan thik ho jati he.

* Pipal ke patto ko nichodkar kan me dalne se kan ka dard v beharepan ki samasya ka nivaran hota he.

* Isake patto ko garm karke sujan wali jagah par bandhane se sujan thik ho jati he.

vibhinn prakar ke rog mukti ke liye totake

Navgraho Ke Dosh Door Karne Ke Upay

* Isake patto ko sukhakar koot kar chhan le fir saman matra me isame shahad babool ka gond misri adi milakar goliya bana le. din me3-4 bar ye goliya chusane se purani khansi thik ho jati he.

* Sardi zukam sirdard me isaki komal pattiyo ko din me 3-4 bar chusate rehane se aram milata he.

* Peepal ke naram patto ko chusane, isaki chhal ka kada pine se dad, khaj, khujali, charm rog thik hota h

* Isaki chhal ka powedar bana kar gav me dalne se ghav jaldi bhar jata he.

* Isaki tehaniyo se datun karne aur chhal ke powedar se kulla karne se pieriya, muh se durgandh, danto ka hilna, dant me kide lagana adi samasyao ka nash hota he aur ankho ki roshani badati he.

* Pipal ki tehaniyo ki datun karne tatha kuchh dino tak use chusane se maleriya thik ho jata he.

* Isaki naram tehaniyo ko kat kat kar mala bana kar piliya ke rogi ko pehanane se wo thik ho jata he.

 Peepal Tree Information se judi har prakar ki dharmik aur aushadhiye Jankari ko is post ke madhyam se yaha prastut karne ka sirf yahi maksad he ki aap bina dare is chamatkari ped ke guno ka labh uthaye aur samaj  pipal ke prati fele in andhvishwaso ko dur kare.aur is post ko adhik se adhik shair kare dhanywad.

No comments:

Post a Comment

comment karne se pehale comment as ke niche profile select karna na bhule