hindi tantra mantra totake

Monday, February 29, 2016

Jaap Karne Ki Mala Kitne Motio Ki Hoti He-Rudraksh Mala Kaise Sidh Kare-माला सिध्दि

Vese to mala kai prakar ki hoti he pushp mala jese,par puja path jap hawan ya vishesh mantro m use karne ke liye kai anya prakar ki malao ka istemal kiya jata he.ye Mala Kon-Kon Si He?  aur kon si Mala Me Kitne Moti Hone Chahiye? Kis Mala Se Kis Devta Ki Puja Ki Jati He?

Mala Pehanane Se Kya Labh He? ise Pran Pratishthit ar Sidh Kese Kiya Jata He,in sabhi sawalo ke jwab apko is post ke madhyam  se mil jaenge.  Akarshan ke kam me Matwale Hathi Ke Dant Ki Mala.

Vashikaran aur pushti ke kary me Munge Ki Mala, vidheshan aur maran me Sarpasthi (Sarp Ki Haddiyo) Ki Mala, Hire Ki Mala, manushya ke balo me ghode ke danto ko pirokar bhi mala bna kar maran uchatan viddeshan karya kiya jata he.

sabhi prakar ki kamanaome me mani,shankh aur kamalgatte ki mala ka prayog karna chahiye Sfatik, Mani, Mukta, Rudraksh Ki Malay. se jap karne se sarswati ki prapti hoti he yah purntya sidh he.
mala-sidhi, rudraksh-mala, munga-mala, tulsi-mala, sfatik-mala,

Tulsi Ki Mala - तुलसी की 

Yah mala bhut hi shudh hoti he.is mala se shudh mantro ka hi ucharan hi hona chahiye.sadhak ko keval stambhan ka prayog hi is mala se karna chahiye.jo bhi mantra bole jae uska uccharan spasht ho.aur unke liye usaki bhawana bhi shudh honi chahiye. isame 108 dane hone chahiye.

                                              Ghar Se Bhage Vyakti Ko Bulane Ke Liye

Munge Ki Mala - मूंगे की माला

Lal rang ke dano ki mala ko munge ki mala kaha jata he,yah prayah samudra me paya jata he kai bar nakali bhi hota he.isiliye ise shudh nhi mana gaya.isaka upyog maran sidhi karyo me kiya jata he hanuman pujan me bhi kar sakte he.

munge ki mala ko loban ki hi dhooni deni chahiye,dhoop ki dhooni kabhi bhulkar bhi na di jae.loban ki mahak se maran pret atmae rakshas prasann hote he.munge ki mala me 86 dane ho to uttam mani jati he.


Rudraksh Ki Mala - रुद्राक्ष की माला

Rudraksh arthat rudra ka aksh kaha jata he ki ek bar shive varsho yugo dhyan me rahe jab unhone apne netra ankhe kholi to unki ankh se jo ansu prathvi par gire wo rudrakh ke ped ban gaye.

rudraksh ek kism ka jangali fal hota he jo adhiktar nepal me aur unche pahadi sthano me paya jata he.rudraksh kai prakar ka hota he.isako vedik riti se bhut pavitra mana gaya gaya he.kaha jata he ki asali rudraksh ki mala se jap karane se jivan ki tamam ichhao ki purti hoti he.

Vashikaran aur akarshan ki sadhanao ke liye rudraksh ki mala honi chahiye.rudraksh ko dhyan se dekhane par ek hissa kuch sikuda hua kuchh fela sa dikhai deta he,isme ek hissa mukh he aur ek punchh he mala kharidate samay ya bnate samay ya banwate samay ye dhyan rakhana chahiye ki mukh se mukh aur punchh se punchh mili honi chahiye.

Mantra ka jap karte samay dhyan rakhana chahiye ki mala mala ka koi bhi hissa per se n chhue.per ke pas tak ane se bhi sidhi me gehari kami aa sakati he aur usaka fal ulta hone ki sambhawana rehati he.rudraksh ki mala ka prayog raktchap(blod-preshar)ki bimari me bhi kiya jata he pahan kar .isame 108 manke hone chahiye.

Rudraksh Ki Mala Kese Sidh Kare - रुद्राक्ष सिद्धि

Samanyatah rudraksh ki mala ko sidh karne ke liye gangajal me dhokar rat bhar ke liye kadue (sarso) ke tel me dubo kar rakh dena chahiye.subah fir se use nikal kar ponchh kar fir gangajal me snan karae,fir is par sindoor haldi kumkum ka hath fere.dhoop deep dikhae.ho sake to om namah shivae ya maha mrityunjay mantra ki ek mala yani 108 bar jap is mala par avashya kare.

Is mala ko jagrat karne ki dusari vidhi ye he ki mala ko rat bhar sarso ke tel me dip karnke subah nikalne ke pashchat ise pipal ke 9 patto ka ek dal banakar( yantra ke akar ka)uspe rakhe.

fir ise panch gavya(dhoodh,dahi,ghi,shahad,gangajal)gomutra adi se snan karae,fir apne samne 11 kapur ke tukade jala ke rakhe.11 isliye kyonki rudra 11 hi hote he. in jalte hue 11 kapoor ke upar se rudrakh ki mala ka utara kare 6 bar clock wise 1 bar anti clock wise.ab ye mala chetanya ho chuki.

       jane pipal ke chamatkari upay

Bheshaj Ki Mala - भेषज की माला

Bheshaj ek prakar ka kala fal he jisaka akar gol ber ki tarah hi hota he.is mala ka prayog adhiktar vidheshan ke kary me kiya jata he.vidheshan yani do paksho me ladai karane ke liye jis isht ki sadhana karte he vah kale akarti wale dano ko dekhkar prasann hota he.

is mala me ginkar 39 dane dalwane chahiye.isake dano ko kale dore me hi pirona chahiye,kyonki kale dane or kisi dhage me piroe jaenge to unka kary ek had tak samapt ho jaega.mala me har chej ka dhyan rakhana chahiye kyonki sidhi ke liye mala vishesh roop se teyar ki jati he.is kam me ane wali malae bahar se nahi mil pati.

 hawan kese kiya jata he ye jane

Sthavar Ki Mala - स्थावर की माला

kathin prayog karne ke liye jese maran adi karyo ke liye haddiyo ki mal ka upayog kiya jata he.is mala ka bnana bhut hi kathin he aur safal tantrik hi ise bana pate he.mala banane ke liye ek"teli"ke gurde ke pas wali haddiya chahiye jo panchako me ya shaniwar ke din mara ho.usaki haddiya niche likhe mantr se ek lakh pachees hazar bar funki jati he.

 //om brahman kaleyah nameh datavyah//  is mantr ka path karke un haddiyo ko gangajal ya nadi ke jal se dhone ke bad unhe guggal ki 21 bar aahuti deni chahiye. aahuti dene ke bad in haddiyo ko gol-gol kat kar dane banakar tambe ke tar me pirona chahiye.is bat ka vishesh dhyan rakhana chahiye ki mala me 13 dane hi ho.

                             Dusht Graho Se Bachane Ke Upay   
 

Moti Ki Mala - मोती की माला

Moti ki mala sadartah sabhi ne dekhi he is mala me bhi 108 dane ho ya 52 ho to uttam he,is mala ka prayog devi sadhan shanti aur chandrma ke mantr jap ke liye kiya jata he jin vyaktiyo ki kundali me chandrma achha ho unhe isaki mala avashya dharan karni chahiye. moti saf hona chahiye dudhiya moti uttam mana gaya he,ise pahanne se lakshmi ka vaas hota he.

                                      Siyar Singhi Hatha Jodi Ki Jankari

Vejyanti Ki Mala - वैजयंती की माला

Yah mala krishn ko atyadhik priya he is mala ko pehanane se mata lakshmi ki kripa sadev bani rehari he vejyanti mala ka prayog khastor par sammohan vashikaran adi ke karyo me vishesh roop se kiya jata he.is mala ko pehanane se bhi vyakti sammohit shakti ka swami ban jata he.

                              Jaldi Shadi Hone Ke Upay

Kamal Gatte Ki Mala - कमलगट्टे की माला

kamal gatte ki mala devi lakshmi ko atyadhik priyah he,is mala ko pahanane se bhi lakshmi ki kripa milti he,is mala ke dano kamal gatte ka hawan karne se vishes lakshmi ki prapti hoti he. lakshmi sadhana me prayog kiye jane wale mantro ka is mala se jap karne se vishesh sidhi prapt hoti he. is mala me 108 dane hone chahiye.

                                     apni patni premika ko vash me karne wala mantr

Mala Ferne Jaap Karne Me Anguli Nirnaya - माला फेरने के नियम

Akarshan karm me anguthe aur anamika ungali se, shanti, stambhan aur vashikaran me anguthe aur bech ki ungali se. vidheshan aur uchatan me angutha aur tarjani se aur maran prayog me anguthaa aur kanishka ungali se mala ferane se sidhi prapt hoti he.

                                 ladakiyo ko vash me karne ke 7 tivra vashikaran mantra

Mantra Siddhi Se Pehale Kya Kare:

Jo manushya mantro ko nitya prati likhata rehata he, usake ghar me - bhay,chor,bhoot-pret,pishach kabhi pravesh nahi karte.mantro me vishwas hona chahiye, mantr shuddh or tarike se ho to awashya hi sidh ho jate he.

Sarvapratham snan aadi se nivratt hokar denik pujan sampann karke ekant sthan me jakar mantro ko likhe ar vidhipurvak ek din pujan karta rahe.3 rat tak bramcharya vrat ka palan kare.bhumi par soe.tesare din mantr ka devata ya devi swayam swapn(sapane)me ya sakshat aakar kah jaegi k mantr sidh hoga k nahi.
Orignal-Siyar-Singhi-Hatha-Jodi, Mala-Sfatik-Rudraksh-Moti-Munga-Manik-Hakik-Haldi-Chandan-Tulsi.

Kon Si Disha Me Kon Sa Mantra Jaap Kare - मंत्र जाप कैसे करें

Vashikaran m purv ki or muh karke, maran v uchatan adi me dakshin ki disha ki or, vidhya, dhan, shanti, pushti, aayu ki raksha k liye uttar ki or mukh karke jap kare.

Jap teen prakar ke hote he vachik, upanshu, aur mansik.

Zor se bolkar jap karne ko vachik,khud ko sunai de wo upanshu,jisame bilkul awaz n ho mansik kahalata he. maran me vachik shanti me upanshu tatha moksh karm me mansik jap kiya jata he.

Is post ke madhyam se apko vibhinn prakar ki Malao ki Jankri, Mala Sidh Kaise Kare? Kis Mala Se Kon Sa Mantra Jaap Kare? Kon Si Disha Me Mantra Jaap Kis Mala Se Kare? ye jankari apko kesi lagi hame jarur batae ya hame subscrib kare apko koi aur jankari chahiye to hame cumment me apni samasya likhe turant hi samadhan btaya jaega.

73 comments:

  1. Mala ke bare mein to bta diya aur achha gyan mila.....
    Maa kali ki puja vidhi aur chonki ki vidhi ki post kab daloge....

    ReplyDelete
  2. ji bhut jald kafi relex hokar likhna padata h jab bilkul free hota hu to aap Jude rahe bhut jald likhunga

    ReplyDelete
  3. Raj ji mere mn mein bhut se prashan hain....Agar aapka Facebook account hai to mai wha se aapko contact kar sakta hoon...

    ReplyDelete
  4. ji is mail id se bhi acaunt he par me jyada us nhi karta me yaha apke jawad turant hi de sakta hu

    ReplyDelete
  5. Ok ji...
    Mai aapki us post ka wait karunga...

    ReplyDelete
  6. Raj ji kya durga saptashati se devi maa ko jagrit kiya ja sakta hai

    ReplyDelete
  7. devi ma ko sirf sachi shraddha se hi jagrat kiya ja sakta he hame apne andr WO patrata lani chahiye ki WO hamari sune

    ReplyDelete
  8. mene apke liye post likh di h koi sawal ho us post ke bare m turant likhe

    ReplyDelete
  9. Raj ji, mere paas vaijayanti Ki 108 manko Ki mala h. Jo Maine apne hatho se Lal rang k reshmi dhage main piroyi h. Vajayanti ke daano ko jungle se lakar usmain ched kar k banayi h. Ab mera sawal ye h k iss mala ko sidh kaise karu. Maine jyada you kuch nahi kiya bas ganga jal main dho kar usko dhoop deep dikhakar jap karna suru kar Diya h. Mai shiv mantra Ki 5 mala, Krishna mantra Ki ek mala, hanuman mantra Ki ek mala aour Jo din his Devi ya devta ka hota h unki ek mala kar raha hun. Ab mera sawal ye h k kya ye kafi h mala k sidh karne k liye. Ya mujhe kuch aour bhi karna h. Mai sabhi mantro Ki mala purv disha Ki taraf mukh kark hi Karta hun.

    ReplyDelete
  10. y aap bahut hi galat kr rhe h ESA n kare vejyanti mala bhagwan Krishna ko priya h aap isse Krishna mntra Vishnu mntra lalshami mntra ka hi jap kre bs anyatha hani ki sambhawnaye h aganta wash kiye gaye kisi bhi karya ko ishwar kshma kr dete h ek bar hamesa Nhi dhyan de aage se

    ReplyDelete
  11. Dhanyawad aapke sujhav k liye. Kya Mai isko dharan kar sakta hun?

    ReplyDelete
  12. ji nahi ap ise roz jap karke Nhi dharan kr sakte ya to aap ek bar me adhik se adhik jap kar le tab dharan kare jap ke liye rudrakh ki mala alag se le Len.

    ReplyDelete
  13. Thanks. Vaijayanti Ki jo mala hum dharan karna chahte h uss main kitne manke hone chahiye?

    ReplyDelete
  14. Raj ji, ye Bata dijiye k Mai isko kis tarah se dharan karu. Mera matlab isko dharan karne ka upay sujhaiye.

    ReplyDelete
  15. isako dharan krne k liye meri ek yntra mala wali post m diya hua h mala ki shuddhi k bare m shuddhi k bad Vishnu mntra ka 108 JP krke dharan kriye

    ReplyDelete
  16. SIR JI, MAINE VAIJAYANTI MALA DHARAN KIYA HAI, LEKIN USKO GANGAJAL ME DHOYA NAHI, USKI POOJA KARKE KRISHNA BHAGWAN KE MANTRA PADHKE PAHENAYA HAI, LEKIN MUJHE AISA LAGATA HAI,KI AGAR MUJHE USKI WAPIS POOJA KARANA HAI, TO MAI USKI POOJA KAR SAKATA HAI KYA??????

    ReplyDelete
  17. Raj ji,mai gaytari mantra ka sawa lakhs mantro jaap tulsi ya rudraksh ke mala se karu.mala sidh karne ki liye mai 108 gaytari mantars ki yagj karna chata hu.app mala ke phechan aur mala sidh karne ke simple upayai btayea.mala aur other saman 30-9-2016 ko la sakta hu kayuki mai phale navrat me mala sidh aur jaap suru karna hai.kripa jaldi jawab dijia. Dhanwad. Shiv sharma

    ReplyDelete
  18. Mala sidhi ke liye aap meri post yntra mala ki pran pratishtha kese kare post pade simpl steps diye he rudraksh asali pani me dodh me doob jata h terna nhi chahiye baki pehachan dekh kr hi ki ja sakti h

    ReplyDelete
  19. Raj ji,app ne reply kiya app ka dhanyawad,app ne ye nahi btaya ke koun se mala gaytri jap ke liye best he.Aur jo app ne post dekhni ke leyi btaya wo kaha per aur kise dekhu.app appna m.no dey aur apni fees bhi btayee.pls reply soon.app meri mail pe post send kerde. ID-sshiv8586@gmail.com.Dhanyawad

    ReplyDelete
  20. aap tulsi aur rudraksh dono se kar sakte he jap wali mala ko jap ke samay nhi phn sakte jab apke jap khatm ho jae tabhi pehan sakte h

    ReplyDelete
  21. Ji namaste,shukar dant ka Jo mantra hai wah karya nahin Karta hai. Jis bhi sadhak se maine baat ki hai usne Na mein ji jawab Diya hai. Ek Laghu prayog Jo main janta Hun wah hai ki astagandha se kiska name dant par likhenge uska vashikaran hota hai.

    ReplyDelete
  22. he to sukrdnt hi n samgri men h mntr aur vidhi kai ho sakti h isse bhi kargar upay mera bhojptr prayog h azmya hua h aap posts dhyan se pade apko mil jaega vashikrn meny dekhe

    ReplyDelete
  23. jaap karne wali mala pahanana chahiye ki nahi. agar pahanana chahiye to uska kya benefit hai.
    yadi nahi pahanana chahiye to kyon?

    ReplyDelete
  24. pehanane se mala jap ke liye ashudh mani jati he jap ke bad phanane se us mantra ki chetna hamare sharir me pahuchati he y labh h

    ReplyDelete
  25. kripya ye btaye ki hanuman ji ki sadhna me kon si mala use kare

    ReplyDelete
  26. lal munga rudraksh ya tulsi ki mala

    ReplyDelete
  27. Peeling hakik mala pehnne se kya labh hai

    ReplyDelete
  28. Peeli hakik mala dharan krne k kya labh hai

    ReplyDelete
  29. pili hakik mala aur haldi ki mala dono se hi apka guru mazbothota he guru ke neech hone par mala dharan n kare

    ReplyDelete
  30. Raj ji namste mera naam Rajat hai main kali maa ki pooja karta hun her shanivar main kali maa ki jot lagata hun. Sir main kali maa ke mantra ka jap karna chahta hun Iske liye konsi mala or kitne mantra karne honge jisse ki mantra or mala siddh ho paye. Please sir help me.

    ReplyDelete
  31. माता काली की पूजा करने के लिए आप काली हकीक या रुद्राक्ष की माला का यूज कर सकते हैं। Kali ji ki sampurna Pooja ki biwi Kali Maha Kali Puja Vidhi wali post Mein likhi hai। aur dusra ke Mala Kaise set kare uske liye aap meri yantra Mala ki Pratishtha wali post pade।

    ReplyDelete
  32. Thanku sir for reply me.
    Sir ek sawal or hai. Mujhe kisi ne kali maa ki pooja ke liye KALI HAKIK ki mala bataya hai. Agar ye sahi hai toh KALI HAKIK ki mala ke sath konsa manyra karna or kitni baar karne se siddh hoga.

    ReplyDelete
  33. aap kali hakik us kar sakte he sahi btaya h apko bas ye tivra mntro ke liye use ki jati he khaskar kali mata ke.

    isse aap dakshin kali mantra sidh kar sakte h jp sankhya 125000 krni hogi 40 din me mntra atyant kathin he aur sadhna bhi kathin he iske liye aap phle puri trh pripare ho tb hi kare.

    ReplyDelete
  34. Thanku raj ji for rply me.


    Sir tivra mantra kya hota hai? Or ise kese kiya jata hai?? Mere paas kali maa ki photo frame hai but dakshin kali ka nahi. Kya photo se bhi fark padta hai??? Raj ji krpya mantra batayen or konsi si ungli se mala karni hai anguthe ke sath?? Or pooja ka konsa sahi time hota hai.????

    ReplyDelete
  35. guruji yh original vaijayanti mala kaha milegi aur isko dharan kar k kaise prayog kiya jaye??

    ReplyDelete
  36. rajat ji foto koi bhi ho kali ji ki aap unke kisi bhi roop ko usi fhoto se puj sakte he. tivra mantra matlab tez mntra hote he wo ap k prabhavit kar sakte he isiliye inhe tantrik hi adhiktr istemal karte h

    ReplyDelete
  37. raj orijanal mala ya koi bhi samagri chahiye ho to aap trishakti sansthan se sampark kare meri har post me unka add laga h nmbr bhi diya h

    ReplyDelete
  38. thanks 4 d reply sir
    ek sawaal hai aapse kripya help kare
    i hv heard tat ghar mey sukh shanti k liye 11 gomti chakras ko lal sindoor ki sibbi mey rakhna chaiye.
    but can u plz guide me k sirf aiae he rakhna cahiye ya un gomti chakra ko abhimantrit b karna padta h??

    ReplyDelete
  39. aur kis muhurat mey kaise aur kaha rakhna chahiye
    kripya puri detail batane ki kripa kare..

    ReplyDelete
  40. ha rakha jata h aur bandha bhi jata h dukan me mene kai dhan prapti posts likhi h waha iske prayog diye he. koi bhi puja ki vastu ho agar wo pran pratishthit h to uska kai guna asar hota h.baki apne sahi suna he.aap lakshami kodi bhi rakh sakte he.muhurt diwali sabse shub h

    ReplyDelete
  41. Namaste RAJ JI..
    Sir kya ek hi mala se do bhagwan k mantro ka jap kiya ja sakta hai

    Kali maa or shanidev dono k din shanivar hai toh kya aisa kiya ja sakta hai.
    Kiya ja sakta hai toh pahle kiske mantra karen shanidev ke ya maa kali ke.

    ReplyDelete
  42. Raj ji NEELAM ka best substitute kya hota hai??????

    ReplyDelete
  43. nhi ek mala me ek time me ek hi jaap kare

    ReplyDelete
  44. Sir ji thanks 4 rply...


    Sir ji mujhe fir do mala leni hongi dono ke jap karne main kali hakik ki mala ise hoti hai. Matlab ki do mala leni hai???????????

    ReplyDelete
  45. ek sath do jaap n kare bar bari se kare to ek hi mala use ho jaegi warna do le.wese ek samay m ek hi jaap kare

    ReplyDelete
  46. rajat ji neelam ka best substitud he neeli. soch smjhkr phne

    ReplyDelete
  47. rajat ji neelam ka best substitud he neeli. soch smjhkr phne

    ReplyDelete
  48. vejayanti mala dharan karne mey kaunsa mantra use kiya jaye aur kitne din tak kitne jap k baad dharaan ki jaye..
    kya usey hamesha dharan kar k rakhe ya raat ney nikal k rakh sakte hai??
    mantra zarur bataye sirji..

    ReplyDelete
  49. om namo bhagwate vasudevay ya koi bhi vishnu mantra use kare rat me mala utar de

    ReplyDelete
  50. thanks 4 d reply sir but i would b very thankful to u please can u provide me d complete details of how many japs & when should be it done for good results

    ReplyDelete
  51. Raj ji namaste.

    Raj ji main MAA KALI ke mantro ka jap kar raha hun.
    "OM AIM HREEM KLEEM CHAMUNDAYE VICHCHE NAMAH" kya ye sahi hai kyun ki mene internet pe read kiya "OM AIM HREEM KLEEM CHAMUNDAYE VICHCHE" hai "NAMAH" NAHI HAI TOH KYA MAIN KOI GALTI KAR RAHA HUN???? PLSS samadhan kijiye.

    ReplyDelete
  52. isme namah nhi hota ye narvan mantra hai. only //ॐ ऐं ह्रीं क्लीं चामुंडायै विच्चे//

    ReplyDelete
  53. Raj ji thanks for the rply.

    Sir ji abhi tak mantra galat karen hai toh kya mujhe wapas shuru karne honge???

    Main 45000 mantra kar raha hun ye mene 10 din main karen hai.

    ReplyDelete
  54. nahi rehne do waps dobara mat karo ab. bas ab chng karke hi jaap karo. mantra me namah lagane se mantra somya ho jata hai. fatt lgane se agney.

    ReplyDelete
  55. Raj ji namaste...



    Raj ji mene kali mata ke mantra ka jap 125000 pura kar liya hai. Mata ke darshan bhi hue bahot achcha laga thanku v much.


    Raj ji mene mantra ka jap kali hakik ki mala se kiya mujhe kese pata chalega ki mala or mantra siddh ho chuke hai. Inko kese use kar sakte hain??.


    Raj ji kya mujhe hawan karna hai koi. Mantra ke pure hone k  baad???




    Pls HELP





    REGARDS 



    RAJAT.

    ReplyDelete
  56. ji ha ab apko hawan karna he uske liye aap meri hawan wali post pade aur last me jo mantra aapne sidh kiya h uski dasans aahuti de 10% tbhi yh sadhna purn hogi fir 1 ya 5 knyao ko bhojan kra de.

    manra ka use aap 11 bar padkar jis vyakti ko jis kam ke liye denge wo purn hoga. aap nity us mntr ki ek mala bhi jaap karte rhe uski sakti badti jaegi. sath hi sath aapko vaksidhi bhi prapt ho jaegi.

    bhavishya me jab dobara kali ji aye to unhe vachanbadh kar le fir aap uhe kbhi bhi bula sakenge.

    ReplyDelete
    Replies
    1. please pandit ji mujhe bta dijiye ki kaise karna he kyunki mujhe kal samgri lake parso havan karna he par mujhe apke last reply me poora details samajh nhi aya ki kya or kaise karna he please help ki me kaise karu maine "om aim him kleem chamundaye viche mantra ka jap kia he . ab mujhe smapan karna he ap btaien ki kaise kar skte he

      Delete
  57. jo vidhi likhi he vese hi karna he. last me aap jo mntra he apka uski ahuti deni he. jitna jaap aapne kiya he uska 10va hissa.uske liye bhi likha he ki aap kha p ahuti de last me.thik se pade.

    ReplyDelete
  58. very nice gyanprad jankri jo jaldi nhi milti

    ReplyDelete
  59. Kya 54 manko ki rudraksh mala ke sath Japp kar skate hai.?

    ReplyDelete
  60. 54 manko ki 5 mukhi rudraksh mala ke sath Japp kar skate hai??

    ReplyDelete
  61. Concentration aur sincerity badhane ke liye kya Kere?????

    ReplyDelete
  62. meri mind power meditation wali post pade

    ReplyDelete
  63. Sir, Surya dev ke mantra jaap k liye kon so maala use Karen...

    ReplyDelete
  64. Thanks for finally talking about >"Jaap Karne Ki Mala Kitne Motio Ki Hoti He-Rudraksh Mala Kaise Sidh Kare-माला सिध्दि" <Liked it!

    ReplyDelete

comment karne se pehale comment as ke niche profile select karna na bhule